junun se barsar-e-paikar hoti ja rahi hai
junūñ se barsar-e-paikār hotī jā rahī hai
mirī dīvāngī hushiyār hotī jā rahī hai
kabhī mujh meñ koī buniyād-e-ġham rakkhī ga.ī thī
vo baḌh kar ab dar-o-dīvār hotī jā rahī hai
chhupā baiThā huuñ maiñ apne hī andar aur bāhar
na.ī duniyā koī tayyār hotī jā rahī hai
ḳhayāl aane lage haiñ dil meñ jaane kaise kaise
mirī tanhā.ī ab bāzār hotī jā rahī hai
maiñ ḳhud ko jis qadar āsān kartā jā rahā huuñ
ye duniyā us qadar dushvār hotī jā rahī hai
bahut din se nahīñ chīrā kisī chaTTān kā dil
salāhiyyat mirī bekār hotī jā rahī hai
maiñ duniyā kī nazar meñ mohtaram hone lagā huuñ
mirī nazroñ meñ duniyā ḳhaar hotī jā rahī hai
junun se barsar-e-paikar hoti ja rahi hai
meri diwangi hushiyar hoti ja rahi hai
kabhi mujh mein koi buniyaad-e-gham rakkhi gai thi
wo baDh kar ab dar-o-diwar hoti ja rahi hai
chhupa baiTha hun main apne hi andar aur bahar
nai duniya koi tayyar hoti ja rahi hai
KHayal aane lage hain dil mein jaane kaise kaise
meri tanhai ab bazar hoti ja rahi hai
main KHud ko jis qadar aasan karta ja raha hun
ye duniya us qadar dushwar hoti ja rahi hai
bahut din se nahin chira kisi chaTTan ka dil
salahiyyat meri bekar hoti ja rahi hai
main duniya ki nazar mein mohtaram hone laga hun
meri nazron mein duniya KHar hoti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.