junun se hosh se wahm-o-yaqin se
junūñ se hosh se vahm-o-yaqīñ se
pata kuchh to chale apnā kahīñ se
kabhī tanqīd par hotī nahīñ hai
hameñ nā-ḳhush-gavārī nukta-chīñ se
sifat yaksāñ hai kyā sher-o-nazar meñ
hameñ ye pūchhnā hai nukta-chīñ se
koī kaj to mire dil kī nahīñ hai
nazar aatī hai jo dāġh-e-jabīñ se
sukūn-e-dil jahāñ meñ chhān maarā
nahīñ miltā 'ziyā' sāhib kahīñ se
junun se hosh se wahm-o-yaqin se
pata kuchh to chale apna kahin se
kabhi tanqid par hoti nahin hai
hamein na-KHush-gawari nukta-chin se
sifat yaksan hai kya sher-o-nazar mein
hamein ye puchhna hai nukta-chin se
koi kaj to mere dil ki nahin hai
nazar aati hai jo dagh-e-jabin se
sukun-e-dil jahan mein chhan mara
nahin milta 'ziya' sahib kahin se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.