junun se umr ki taraf sarak raha hun aaj-kal
junūñ se 'umr kī taraf sarak rahā huuñ āj-kal
qadam baḌhāne se bhī pahle thak rahā huuñ āj-kal
ghasīT laao mujh ko ghar se aur kaam par lagāo
zarā zarā sī baat par bhaḌak rahā huuñ āj-kal
qafas se sach meñ 'ishq hī na ho rahā ho ai ḳhudā
samajh na aa.e itnā kyoñ chahak rahā huuñ āj-kal
nishāna yaar ḳhaas hai nahīñ tumhārā is liye
tamām jism dil banā dhaḌak rahā huuñ āj-kal
dukān jo chalānī hai suḳhan kī kyā karūñ 'anant'
ġhazal kā naam de ke kuchh bhī bak rahā huuñ āj-kal
junun se 'umr ki taraf sarak raha hun aaj-kal
qadam baDhane se bhi pahle thak raha hun aaj-kal
ghasiT lao mujh ko ghar se aur kaam par lagao
zara zara si baat par bhaDak raha hun aaj-kal
qafas se sach mein 'ishq hi na ho raha ho ai KHuda
samajh na aae itna kyon chahak raha hun aaj-kal
nishana yar KHas hai nahin tumhaara is liye
tamam jism dil bana dhaDak raha hun aaj-kal
dukan jo chalani hai suKHan ki kya karun 'anant'
ghazal ka nam de ke kuchh bhi bak raha hun aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.