junun talim kuchh farma raha hai
junūñ tā'līm kuchh farmā rahā hai
ḳhirad kā saath chhūTā jā rahā hai
baḌhī jaatī hai sham'-e-bazm kī lau
koī parvāna shāyad aa rahā hai
fanā kā pesh-rau is ko samajhiye
jo lamha zindagī kā jā rahā hai
ilāhī sharm rakhnā rāz-e-dil kī
kisī kā naam lab par aa rahā hai
tirī raushan-jabīñ kā hai vo 'ālam
charāġh-e-māh bhī sharmā rahā hai
nigah ne shakl tak dekhī nahīñ hai
pas-e-parda koī taḌpā rahā hai
'nihāl' āñkheñ uThā bahr-nazāra
koī sū-e-gulistāñ aa rahā hai
junun ta'lim kuchh farma raha hai
KHirad ka sath chhuTa ja raha hai
baDhi jati hai sham'-e-bazm ki lau
koi parwana shayad aa raha hai
fana ka pesh-rau is ko samajhiye
jo lamha zindagi ka ja raha hai
ilahi sharm rakhna raaz-e-dil ki
kisi ka nam lab par aa raha hai
teri raushan-jabin ka hai wo 'alam
charagh-e-mah bhi sharma raha hai
nigah ne shakl tak dekhi nahin hai
pas-e-parda koi taDpa raha hai
'nihaal' aankhen uTha bahr-nazara
koi su-e-gulistan aa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.