junun ye aafrida hai hamara
junūñ ye āfrīda hai hamārā
sukūñ ham se ramīda hai hamārā
falak ab bhī saḳhī jaisā hai qaa.em
magar dāman darīda hai hamārā
suḳhan ḳhud hī alag hai ek maslak
suḳhan meñ hī aqīda hai hamārā
usī ko phir se ab mazbūt kar leñ
ta.alluq jo kashīda hai hamārā
shab-e-ġham tujh se hai itnī shikāyat
sitāra āb-dīda hai hamārā
ravāñ hai bahr kī sūrat jahāñ bhī
'nisār' ashk-e-chakīda hai hamārā
junun ye aafrida hai hamara
sukun hum se ramida hai hamara
falak ab bhi saKHi jaisa hai qaem
magar daman darida hai hamara
suKHan KHud hi alag hai ek maslak
suKHan mein hi aqida hai hamara
usi ko phir se ab mazbut kar len
talluq jo kashida hai hamara
shab-e-gham tujh se hai itni shikayat
sitara aab-dida hai hamara
rawan hai bahr ki surat jahan bhi
'nisar' ashk-e-chakida hai hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.