jurat ho to puchhe ye koi pir-e-mughan se
jur.at ho to pūchhe ye koī pīr-e-muġhāñ se
khiñchtī hai kahāñ aatī hai botal meñ kahāñ se
pachhtā.iyegā ham ko burā kah ke zabāñ se
TūTegā na vo tiir jo niklegā kahāñ se
ham baat bhī karte nahīñ us āfat-e-jāñ se
jo merī kahānī sune dushman kī zabāñ se
sargoshiyāñ kaisī haiñ zarā baḌh ke to dekho
qāsid to nahīñ aayā hai ḳhat le ke vahāñ se
āzādī ne baazū bhī salāmat nahīñ rakkhe
ai tāqat-e-parvāz tujhe laa.eñ kahāñ se
vo dekhiye phir jhūTī qasam aap ne khaa.ī
phir kah ga.e vo jo nahīñ kahnā thā zabāñ se
pahoñche ba-adab bārgah-e-nāz meñ terī
naale mire Takrā ke muazzin kī azaañ se
dushman kī kahānī to sadā sunte rahe aap
merī bhī kabhī sunte magar merī zabāñ se
ġhairat kā taqāza hai ki us bazm meñ chaliye
aur zo'f ye kahtā hai ki uTThe na yahāñ se
hañste jise dekhā use rote hue dekheñ
allāh dil aisā koī ab laa.eñ kahāñ se
ghabrā ke idhar aur udhar dekh rahe haiñ
pahuñchā ga.e ahbāb kahāñ ham ko kahāñ se
phūloñ meñ hañsī maiñ tirī pahchān rahā huuñ
tujh se nahīñ sīkhā hai to laa.e haiñ kahāñ se
mausam kā taqāzā hai ki pī lījiye 'bismil'
aur vaqt ye kahtā hai piyoge to kahāñ se
jurat ho to puchhe ye koi pir-e-mughan se
khinchti hai kahan aati hai botal mein kahan se
pachhtaiyega hum ko bura kah ke zaban se
TuTega na wo tir jo niklega kahan se
hum baat bhi karte nahin us aafat-e-jaan se
jo meri kahani sune dushman ki zaban se
sargoshiyan kaisi hain zara baDh ke to dekho
qasid to nahin aaya hai KHat le ke wahan se
aazadi ne bazu bhi salamat nahin rakkhe
ai taqat-e-parwaz tujhe laen kahan se
wo dekhiye phir jhuTi qasam aap ne khai
phir kah gae wo jo nahin kahna tha zaban se
pahonche ba-adab bargah-e-naz mein teri
nale mere Takra ke muazzin ki azan se
dushman ki kahani to sada sunte rahe aap
meri bhi kabhi sunte magar meri zaban se
ghairat ka taqaza hai ki us bazm mein chaliye
aur zo'f ye kahta hai ki uTThe na yahan se
hanste jise dekha use rote hue dekhen
allah dil aisa koi ab laen kahan se
ghabra ke idhar aur udhar dekh rahe hain
pahuncha gae ahbab kahan hum ko kahan se
phulon mein hansi main teri pahchan raha hun
tujh se nahin sikha hai to lae hain kahan se
mausam ka taqaza hai ki pi lijiye 'bismil'
aur waqt ye kahta hai piyoge to kahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.