jurat-o-azm chahiye dil mein
jur.at-o-azm chāhiye dil meñ
koī mushkil nahīñ hai mushkil meñ
us safīne kā tazkira be-sūd
ho chukā hai jo ġharq sāhil meñ
haa.e us kārvāñ kī pāmālī
luT gayā jo pahuñch ke manzil meñ
ye hai shān-e-kamāl-e-ḳhuddārī
be-niyāzī hai un kī mahfil meñ
roġhan-e-ḳhūn-e-ārzū se mire
jal rahā hai charāġh mahfil meñ
phūñk saktā hai ḳhirman-e-hastī
vo sharārā hai tūda-e-gul meñ
raushnī vo hai aur ye zulmat
farq itnā hai haqq-o-bātil meñ
muñh kī khānī paḌegī ai 'hamdam'
jo bhī aayā tire muqābil meñ
jurat-o-azm chahiye dil mein
koi mushkil nahin hai mushkil mein
us safine ka tazkira be-sud
ho chuka hai jo gharq sahil mein
hae us karwan ki pamali
luT gaya jo pahunch ke manzil mein
ye hai shan-e-kamal-e-KHuddari
be-niyazi hai un ki mahfil mein
roghan-e-KHun-e-arzu se mere
jal raha hai charagh mahfil mein
phunk sakta hai KHirman-e-hasti
wo sharara hai tuda-e-gul mein
raushni wo hai aur ye zulmat
farq itna hai haqq-o-baatil mein
munh ki khani paDegi ai 'hamdam'
jo bhi aaya tere muqabil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.