jurm-e-wafa ki KHub saza de gaya mujhe
jurm-e-vafā kī ḳhuub sazā de gayā mujhe
ik lambī zindagī kī duā de gayā mujhe
zaḳhmoñ pe mere us ne namak tak chhiḌak diyā
dard-e-jigar kī ḳhuub davā de gayā mujhe
āñkhoñ meñ ashk merī vo bhar kar chalā gayā
merī vafā kā ḳhuub sila de gayā mujhe
us ne sukūn kab mujhe baḳhshā hai aaj tak
bholī tasalliyoñ kā nasha de gayā mujhe
jis ko bhī dost maiñ ne sharīk-e-safar kiyā
har ik qadam pe vo hī daġhā de gayā mujhe
ai dost raah chalte milā jo faqīr aaj
vo merī zindagī kā patā de gayā mujhe
āñkhoñ meñ ashk siine meñ rahne lagā thā dard
sun lī ḳhudā ne aaj qazā de gayā mujhe
maiñ ne hayāt jis kī sañvārī thī ai mukesh
vo hī ġhamoñ kī garm havā de gayā mujhe
jurm-e-wafa ki KHub saza de gaya mujhe
ek lambi zindagi ki dua de gaya mujhe
zaKHmon pe mere us ne namak tak chhiDak diya
dard-e-jigar ki KHub dawa de gaya mujhe
aankhon mein ashk meri wo bhar kar chala gaya
meri wafa ka KHub sila de gaya mujhe
us ne sukun kab mujhe baKHsha hai aaj tak
bholi tasalliyon ka nasha de gaya mujhe
jis ko bhi dost main ne sharik-e-safar kiya
har ek qadam pe wo hi dagha de gaya mujhe
ai dost rah chalte mila jo faqir aaj
wo meri zindagi ka pata de gaya mujhe
aankhon mein ashk sine mein rahne laga tha dard
sun li KHuda ne aaj qaza de gaya mujhe
main ne hayat jis ki sanwari thi ai mukesh
wo hi ghamon ki garm hawa de gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.