jussa-e-tahayyur ko lafz mein jakaDte hain
jussa-e-tahayyur ko lafz meñ jakaḌte haiñ
sher ham nahīñ kahte titliyāñ pakaḌte haiñ
kyuuñ hamāre qabze meñ koī jin nahīñ aatā
is charāġh-e-hastī ko ham bhī to ragaḌte haiñ
bar-qarārī-e-zāhir kitnā ḳhuuñ rulātī hai
apne jism ke andar ham kisī se laḌte haiñ
qābil-e-ubūr itnī hai badan kī saf-bandī
tiir jitne chalte haiñ ruuh hī meñ gaḌte haiñ
jussa-e-tahayyur ko lafz mein jakaDte hain
sher hum nahin kahte titliyan pakaDte hain
kyun hamare qabze mein koi jin nahin aata
is charagh-e-hasti ko hum bhi to ragaDte hain
bar-qarari-e-zahir kitna KHun rulati hai
apne jism ke andar hum kisi se laDte hain
qabil-e-ubur itni hai badan ki saf-bandi
tir jitne chalte hain ruh hi mein gaDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.