justuju manzil-e-idrak se wabasta hai
justujū manzil-e-idrāk se vābasta hai
ḳhāk-e-darvesh abhī chaak se vābasta hai
merī fitrat nahīñ maiñ ġhair ke raste pe chalūñ
merī nisbat bhī merī naak se vābasta hai
vo jo aa.ī thī mire sā.īñ ke qadmoñ ke tale
merī hastī to isī ḳhaak se vābasta hai
tū kabhī ruuh se insāf nahīñ kar saktā
terī darveshī to poshāk se vābasta hai
taḳhta-e-dār pe chaḌh jā.egī sach kī ḳhātir
ye zabāñ lahja-e-bebāk se vābasta hai
hosh vaalo ko ye hāsil nahīñ hotī hai miyāñ
ye ḳhushī dīda-e-namnāk se vābasta hai
ham zamīñ par nahīñ chalte kabhī tan kar 'tāriq'
dil yahāñ hai magar aflāk se vābasta hai
justuju manzil-e-idrak se wabasta hai
KHak-e-darwesh abhi chaak se wabasta hai
meri fitrat nahin main ghair ke raste pe chalun
meri nisbat bhi meri nak se wabasta hai
wo jo aai thi mere sain ke qadmon ke tale
meri hasti to isi KHak se wabasta hai
tu kabhi ruh se insaf nahin kar sakta
teri darweshi to poshak se wabasta hai
taKHta-e-dar pe chaDh jaegi sach ki KHatir
ye zaban lahja-e-bebak se wabasta hai
hosh walo ko ye hasil nahin hoti hai miyan
ye KHushi dida-e-namnak se wabasta hai
hum zamin par nahin chalte kabhi tan kar 'tariq'
dil yahan hai magar aflak se wabasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.