justuju mein wo daur bhi aaya
justujū meñ vo daur bhī aaya
ham ne manzil ko aap Thukrāyā
apne saaya ko jab se apnāyā
koī sūraj na mere paas aaya
phuul us kī taraf baḌhe aksar
jis ne kāñToñ se dil ko bahlāyā
rūh-e-kaunain jhuum jhuum ga.ī
ham ne ulfat kā giit jab gaayā
dil meñ kyā kuchh na thā mire lekin
un se ik baat bhī na kah paayā
jagmagāne lagā jahān-e-ḳhayāl
kaun yādash-ba-ḳhabar yaad aaya
shauq-e-manzil thā ai 'bahār' magar
manzil aa.ī to aur ghabrāyā
justuju mein wo daur bhi aaya
hum ne manzil ko aap Thukraya
apne saya ko jab se apnaya
koi suraj na mere pas aaya
phul us ki taraf baDhe aksar
jis ne kanTon se dil ko bahlaya
ruh-e-kaunain jhum jhum gai
hum ne ulfat ka git jab gaya
dil mein kya kuchh na tha mere lekin
un se ek baat bhi na kah paya
jagmagane laga jahan-e-KHayal
kaun yaadash-ba-KHabar yaad aaya
shauq-e-manzil tha ai 'bahaar' magar
manzil aai to aur ghabraya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.