Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

justuju ne bahkaya mujhko dar-ba-dar tanha

Salik Lakhnavi

justuju ne bahkaya mujhko dar-ba-dar tanha

Salik Lakhnavi

justujū ne bahkāyā mujh ko dar-ba-dar tanhā

kitne sanam dekhe jhuk sakā na sar tanhā

ham-navā hazāroñ haiñ par-shikasta-o-māyūs

ai ḳhudā nahīñ zebā mujh ko bāl-o-par tanhā

maiñ ne to pukārā thā koī ham-safar mil jaa.e

jab na koī saath aaya kar liyā safar tanhā

tez-rau haiñ nazzāre fursat-e-nazar kam hai

ye hazār-hā jalve aur mirī nazar tanhā

haa.e kaisā sannāTā ye bhī koī maqtal hai

sharm-e-ishq rakhnā thī rakh diyā hai sar tanhā

justuju ne bahkaya mujh ko dar-ba-dar tanha

kitne hi sanam dekhe jhuk saka na sar tanha

ham-nawa hazaron hain par-shikasta-o-mayus

ai KHuda nahin zeba mujh ko baal-o-par tanha

main ne to pukara tha koi ham-safar mil jae

jab na koi sath aaya kar liya safar tanha

tez-rau hain nazzare fursat-e-nazar kam hai

ye hazar-ha jalwe aur meri nazar tanha

hae kaisa sannaTa ye bhi koi maqtal hai

sharm-e-ishq rakhna thi rakh diya hai sar tanha

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now