justuju se KHuda mila ki nahin
justujū se ḳhudā milā ki nahīñ
tujh pe dar sātvāñ khulā ki nahīñ
kyā kahā paañv ghis ga.e tere
soch ne bhī safar kiyā ki nahīñ
terī ḳhātir badan jalā baiThe
phir bhī terā diyā jalā ki nahīñ
log lākhoñ parakh liye tum ne
mere jaisā koī milā ki nahīñ
sab ne pūchhā to thā mirā lekin
zikr us ne mirā kiyā ki nahīñ
maiñ jo choTī meñ gūñdh laa.ī thī
phuul collar pe vo khilā ki nahīñ
tere kahne pe pahnā surḳh libās
ab batā mujh pe ye sajā ki nahīñ
ishq sho.ala hai ye jalā degā
merā kahnā ye sach huā ki nahīñ
mil na paa.ī tujhe 'samīna' to
zindagī par asar paḌā ki nahīñ
justuju se KHuda mila ki nahin
tujh pe dar satwan khula ki nahin
kya kaha panw ghis gae tere
soch ne bhi safar kiya ki nahin
teri KHatir badan jala baiThe
phir bhi tera diya jala ki nahin
log lakhon parakh liye tum ne
mere jaisa koi mila ki nahin
sab ne puchha to tha mera lekin
zikr us ne mera kiya ki nahin
main jo choTi mein gundh lai thi
phul collar pe wo khila ki nahin
tere kahne pe pahna surKH libas
ab bata mujh pe ye saja ki nahin
ishq shoala hai ye jala dega
mera kahna ye sach hua ki nahin
mil na pai tujhe 'samina' to
zindagi par asar paDa ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.