justuju unki dar-e-ghair pe le aai hai
justuju unki dar-e-ghair pe le aai hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
justujū un kī dar-e-ġhair pe le aa.ī hai
ab ḳhudā jaane kahāñ tak mirī rusvā.ī hai
dil abhī mā.il-e-sad-bādiya-e-paimā.ī hai
kyuuñ abas ahl-e-chaman anjuman ārā.ī hai
ham qafas vāloñ ko itnā to batā de koī
kyā ye sach hai ki gulistāñ meñ bahār aa.ī hai
tere ġham se mujhe imdād milī hai aksar
jab tabī.at ġham-e-ayyām se ghabrā.ī hai
ḳhanda-e-gul bhī vahī girya-e-shabnam bhī vahī
ham to samjhe the na.e Dhab se bahār aa.ī hai
is meñ taskīn kā pahlū na kahīñ maḳhfī ho
ab tabī.at na.e andāz se ghabrā.ī hai
kyā sitam hai ki tirī aish bharī duniyā meñ
terā dīvāna asīr-e-ġham-e-tanhā.ī hai
ye bhī sach hai ki tamannā hī hai baa.is ġham kā
ye bhī taslīm ki har shaḳhs tamannā.ī hai
mast o dīvāna o majzūb pe hañsne vaalo
tum tamāshā jise samjhe ho tamāshā.ī hai
ek duniyā hai ki hañgāma hī hañgāma hai
aur ik maiñ huuñ ki tanhā.ī hī tanhā.ī hai
ain mumkin hai ki mujh hī meñ kamī ho lekin
sāmne aa.e mohabbat jise raas aa.ī hai
un se milte hī mire dil ne kiyā ye mahsūs
jaise sadiyoñ se mirī un kī shanāsā.ī hai
justuju un ki dar-e-ghair pe le aai hai
ab KHuda jaane kahan tak meri ruswai hai
dil abhi mail-e-sad-baadiya-e-paimai hai
kyun abas ahl-e-chaman anjuman aarai hai
hum qafas walon ko itna to bata de koi
kya ye sach hai ki gulistan mein bahaar aai hai
tere gham se mujhe imdad mili hai aksar
jab tabiat gham-e-ayyam se ghabrai hai
KHanda-e-gul bhi wahi girya-e-shabnam bhi wahi
hum to samjhe the nae Dhab se bahaar aai hai
is mein taskin ka pahlu na kahin maKHfi ho
ab tabiat nae andaz se ghabrai hai
kya sitam hai ki teri aish bhari duniya mein
tera diwana asir-e-gham-e-tanhai hai
ye bhi sach hai ki tamanna hi hai bais gham ka
ye bhi taslim ki har shaKHs tamannai hai
mast o diwana o majzub pe hansne walo
tum tamasha jise samjhe ho tamashai hai
ek duniya hai ki hangama hi hangama hai
aur ek main hun ki tanhai hi tanhai hai
ain mumkin hai ki mujh hi mein kami ho lekin
samne aae mohabbat jise ras aai hai
un se milte hi mere dil ne kiya ye mahsus
jaise sadiyon se meri un ki shanasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.