ju-e-kam-ab se ek tez sa jharna hua main
jū-e-kam-āb se ik tez sā jharnā huā maiñ
terī jānib huuñ ravāñ shor machātā huā maiñ
mujh se ḳhālī nahīñ ab ek bhī zarra hai yahāñ
dekh ye tañg zamīñ aur ye phailā huā maiñ
dekh kar vus.at-e-sahrā-e-tapāñ larzāñ huuñ
sāhil-e-dīda-e-namnāk pe Thahrā huā maiñ
pā-ba-zanjīr idhar tez huā aur udhar
ḳhaak ke taḳht pe sultān sā baiThā huā maiñ
koī ḳhurshīd sā duniyā pe chamaktā huā tū
kisī dīvār se saaya sā nikaltā huā maiñ
ju-e-kam-ab se ek tez sa jharna hua main
teri jaanib hun rawan shor machata hua main
mujh se KHali nahin ab ek bhi zarra hai yahan
dekh ye tang zamin aur ye phaila hua main
dekh kar wusat-e-sahra-e-tapan larzan hun
sahil-e-dida-e-namnak pe Thahra hua main
pa-ba-zanjir idhar tez hua aur udhar
KHak ke taKHt pe sultan sa baiTha hua main
koi KHurshid sa duniya pe chamakta hua tu
kisi diwar se saya sa nikalta hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.