ju-e-taza kisi kohsar-e-kuhan se aae
jū-e-tāza kisī kohsār-e-kuhan se aa.e
ye hunar yuuñ nahīñ aatā hai jatan se aa.e
log nāzuk the aur ehsās ke vīrāne tak
vo guzarte hue āñkhoñ kī jalan se aa.e
shahr-e-gul kāsa-e-darvesh banā baiThā hai
koī sho.ala kisī jalte hue ban se aa.e
dard kī mauj-e-subuk-sair meñ bah jā.ūñgā
chāhe vo jaan se chāhe vo badan se aa.e
sub.h ke saath ajab lazzat-e-daryūza-garī
rāt-bhar sochte rahne kī thakan se aa.e
aise zālim haiñ mire dost ki sunte hī nahīñ
jab talak ḳhuun kī ḳhushbū na suḳhan se aa.e
ju-e-taza kisi kohsar-e-kuhan se aae
ye hunar yun nahin aata hai jatan se aae
log nazuk the aur ehsas ke virane tak
wo guzarte hue aankhon ki jalan se aae
shahr-e-gul kasa-e-darwesh bana baiTha hai
koi shoala kisi jalte hue ban se aae
dard ki mauj-e-subuk-sair mein bah jaunga
chahe wo jaan se chahe wo badan se aae
subh ke sath ajab lazzat-e-daryuza-gari
raat-bhar sochte rahne ki thakan se aae
aise zalim hain mere dost ki sunte hi nahin
jab talak KHun ki KHushbu na suKHan se aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.