jun kali wo khil gain baKHt-e-sikandar dekh kar
jun kali wo khil gain baKHt-e-sikandar dekh kar
Mohsin Khan Mohsin
MORE BYMohsin Khan Mohsin
juuñ kalī vo khil ga.iiñ baḳht-e-sikandar dekh kar
aap kī tasvīr ko aa.iiñ na andar dekh kar
saarī bāhar vāliyāñ aa.iiñ na andar dekh kar
ā.ina-ḳhāne meñ tujh ko ai sikandar dekh kar
phūle phūle par kā panchhī shāḳh-e-gul par dekh kar
naama laayā hogā maiñ samjhī kabūtar dekh kar
ḳhātir-e-husn-e-gul-e-tar aage jaanā hai abas
jānib-e-baliyā buā gulhā-e-baksar dekh kar
kyā kahūñ kyoñ ho ga.ī maiñ kushta-e-tīr-e-nigāh
rahm kī ḳhū aap meñ mehr-e-munavvar dekh kar
ham ne jaanā aa ga.iiñ ham-jolī-e-parda-nashīñ
sar se pā tak zer-e-chādar tum ko gauhar dekh kar
yā kalā.ī dekhte the yā dulā.ī oḌh lī
paañv phailāne lage tayyār bistar dekh kar
roTī kapḌe ko bhī ab begam buā muhtāj hai
aa ga.ī thī chaal meñ deputy collector dekh kar
mohnī thī yā ki ruḳh meñ dekh kar but ho ga.ī
aap ko mandir ke andar shām-sundar dekh kar
kis tarah baajī na maano haif apnī aañkh se
lauñDī maiḳhāne meñ aa.ī un ko aksar dekh kar
kyā kahūñ kyā kyā na machle aaj lene ke liye
vo sunahrī goT vaalī uudī chādar dekh kar
roTī kapḌā do use ghar meñ bhī rakkho saut ko
ab kahāñ jaa.e nigoḌī aap kā dar dekh kar
is ko rakkhā us ko chhoḌā hai nigoḌā bevafā
chhūTte hī aur kar lī mujh se behtar dekh kar
merī 'anqā' kā hai baajī vo kalām-e-dilrubā
mast ho ho jaate haiñ jis ko suḳhanvar dekh kar
jun kali wo khil gain baKHt-e-sikandar dekh kar
aap ki taswir ko aain na andar dekh kar
sari bahar waliyan aain na andar dekh kar
aaina-KHane mein tujh ko ai sikandar dekh kar
phule phule par ka panchhi shaKH-e-gul par dekh kar
nama laya hoga main samjhi kabutar dekh kar
KHatir-e-husn-e-gul-e-tar aage jaana hai abas
jaanib-e-baliya bua gulha-e-baksar dekh kar
kya kahun kyon ho gai main kushta-e-tir-e-nigah
rahm ki KHu aap mein mehr-e-munawwar dekh kar
hum ne jaana aa gain ham-joli-e-parda-nashin
sar se pa tak zer-e-chadar tum ko gauhar dekh kar
ya kalai dekhte the ya dulai oDh li
panw phailane lage tayyar bistar dekh kar
roTi kapDe ko bhi ab begam bua muhtaj hai
aa gai thi chaal mein deputy collector dekh kar
mohni thi ya ki ruKH mein dekh kar but ho gai
aap ko mandir ke andar sham-sundar dekh kar
kis tarah baji na mano haif apni aankh se
launDi maiKHane mein aai un ko aksar dekh kar
kya kahun kya kya na machle aaj lene ke liye
wo sunahri goT wali udi chadar dekh kar
roTi kapDa do use ghar mein bhi rakkho saut ko
ab kahan jae nigoDi aap ka dar dekh kar
is ko rakkha us ko chhoDa hai nigoDa bewafa
chhuTte hi aur kar li mujh se behtar dekh kar
meri 'anqa' ka hai baji wo kalam-e-dilruba
mast ho ho jate hain jis ko suKHanwar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.