junhi lab kholta hai wo to jadu bandhta hai
jūñhī lab kholtā hai vo to jaadū bāñdhtā hai
hasīn alfāz ke pairoñ meñ ghuñghrū bāñdhtā hai
añdherī shab ke dāman meñ damakte haiñ sitāre
ḳhayāl-e-yār jab palkoñ pe jugnū bāñdhtā hai
mirī parvāz ko mashrūt kar ke nek sayyād
qafas gar khol detā hai to baazū bāñdhtā hai
sulagtā khaultā māhaul aur ḳhushkī ġhazal kī
ki dil ik aas kā chhappar lab-e-jū bāñdhtā hai
'naqīb' ash.ār apne zindagānī ke safar meñ
koī zād-e-safar meñ jaise sattū bāñdhtā hai
junhi lab kholta hai wo to jadu bandhta hai
hasin alfaz ke pairon mein ghunghru bandhta hai
andheri shab ke daman mein damakte hain sitare
KHayal-e-yar jab palkon pe jugnu bandhta hai
meri parwaz ko mashrut kar ke nek sayyaad
qafas gar khol deta hai to bazu bandhta hai
sulagta khaulta mahaul aur KHushki ghazal ki
ki dil ek aas ka chhappar lab-e-ju bandhta hai
'naqib' ashaar apne zindagani ke safar mein
koi zad-e-safar mein jaise sattu bandhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.