juz andhere ke na kuchh shab ke KHazane se mila
juz añdhere ke na kuchh shab ke ḳhazāne se milā
kitnā sukh tujh ko charāġhoñ ke bujhāne se milā
zar-nigārī na buzurgoñ kī pasand aa.ī magar
kitnā zar un kī qabāoñ ke jalāne se milā
dostī ke nahīñ qābil to 'adāvat hī sahī
silsila koī to shāhī ke gharāne se milā
kis ko pahchāniye kis kis ke liye ġham kiije
ek ambār darindoñ ke Thikāne se milā
sar uThānā to kabhī raas na aayā 'bāqar'
jo bhī e'zāz milā sar ko jhukāne se milā
juz andhere ke na kuchh shab ke KHazane se mila
kitna sukh tujh ko charaghon ke bujhane se mila
zar-nigari na buzurgon ki pasand aai magar
kitna zar un ki qabaon ke jalane se mila
dosti ke nahin qabil to 'adawat hi sahi
silsila koi to shahi ke gharane se mila
kis ko pahchaniye kis kis ke liye gham kije
ek ambar darindon ke Thikane se mila
sar uThana to kabhi ras na aaya 'baqar'
jo bhi e'zaz mila sar ko jhukane se mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.