juz KHuda aur koi hami-o-nasir mil jae
juz ḳhudā aur koī hāmī-o-nāsir mil jaa.e
lutf aa jaa.e qasam se jo vo kāfir mil jaa.e
us kī mushkil se maiñ vāqif huuñ yahī hai mushkil
ye bhī ab kah nahīñ saktā ki bazāhir mil jaa.e
ye vahī haiñ ki jinheñ faḳhr hai mismārī par
dil nahīñ to koī masjid koī mandir mil jaa.e
shahr ghabrā.e hue haiñ na.ī vīrānī se
dasht āvāz lagāte haiñ musāfir mil jaa.e
le kar aayā kahāñ sadiyoñ kā safar lā'nat hai
koh-e-nūr aaj bhī us kā jise nādir mil jaa.e
chain kī saañs na le pā.eñge sau saal bhī ham
haañ ba-sharte koī us se baḌā shātir mil jaa.e
juz KHuda aur koi hami-o-nasir mil jae
lutf aa jae qasam se jo wo kafir mil jae
us ki mushkil se main waqif hun yahi hai mushkil
ye bhi ab kah nahin sakta ki bazahir mil jae
ye wahi hain ki jinhen faKHr hai mismari par
dil nahin to koi masjid koi mandir mil jae
shahr ghabrae hue hain nai virani se
dasht aawaz lagate hain musafir mil jae
le kar aaya kahan sadiyon ka safar la'nat hai
koh-e-nur aaj bhi us ka jise nadir mil jae
chain ki sans na le paenge sau sal bhi hum
han ba-sharte koi us se baDa shatir mil jae
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 70)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.