juz marg dard-e-ishq se koi mafar nahin
juz marg dard-e-ishq se koī mafar nahīñ
is ke liye davā-o-duā kārgar nahīñ
kis darja pur-ḳhatar haiñ mohabbat kī manzileñ
is par ye turra hai ki koī rāhbar nahīñ
tīr-e-nigāh-e-nāz ne kyā kyā sitam kiye
majrūh dil nahīñ ki do paara jigar nahīñ
ḳhud se bhī be-ḳhabar haiñ tire intizār meñ
aur terī yaad dil se judā lamha bhar nahīñ
jis shai pe kī nigāh dikhā.ī diye ho tum
kyā hai agar ye husn-e-fareb-e-nazar nahīñ
tum ne hazār baar diye haiñ hameñ fareb
lekin hamāre ishq meñ zer-o-zabar nahīñ
'jauhar' luTā.ī ham ne to kul kā.enāt-e-zīst
lekin us āfat-e-dil-o-jāñ par asar nahīñ
juz marg dard-e-ishq se koi mafar nahin
is ke liye dawa-o-dua kargar nahin
kis darja pur-KHatar hain mohabbat ki manzilen
is par ye turra hai ki koi rahbar nahin
tir-e-nigah-e-naz ne kya kya sitam kiye
majruh dil nahin ki do para jigar nahin
KHud se bhi be-KHabar hain tere intizar mein
aur teri yaad dil se juda lamha bhar nahin
jis shai pe ki nigah dikhai diye ho tum
kya hai agar ye husn-e-fareb-e-nazar nahin
tum ne hazar bar diye hain hamein fareb
lekin hamare ishq mein zer-o-zabar nahin
'jauhar' luTai hum ne to kul kaenat-e-zist
lekin us aafat-e-dil-o-jaan par asar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.