kaba-e-dil dimagh ka phir se ghulam ho gaya
ka.aba-e-dil dimāġh kā phir se ġhulām ho gayā
phir se tamām shahr par ishq harām ho gayā
maiñ ne to apne saare phuul us ke chaman ko de diye
ḳhushbū uḌī to ik zarā merā bhī naam ho gayā
yaar ne merī ḳhāk-e-ḳhām rakh lī ḳhud apne chaak par
maiñ to safar pe chal paḌā merā to kaam ho gayā
jab bhī huī azān-e-vasl ham ne bichhā.ī jā-namāz
hijr kā ek pāsbāñ baḌh ke imaam ho gayā
saare havās ke charāġh so ga.e intizār meñ
ishq to barqarār hai shauq tamām ho gayā
kaba-e-dil dimagh ka phir se ghulam ho gaya
phir se tamam shahr par ishq haram ho gaya
main ne to apne sare phul us ke chaman ko de diye
KHushbu uDi to ek zara mera bhi nam ho gaya
yar ne meri KHak-e-KHam rakh li KHud apne chaak par
main to safar pe chal paDa mera to kaam ho gaya
jab bhi hui azan-e-wasl hum ne bichhai ja-namaz
hijr ka ek pasban baDh ke imam ho gaya
sare hawas ke charagh so gae intizar mein
ishq to barqarar hai shauq tamam ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.