ka.aba-e-dil ko agar Dhā.iyegā
yaad rakhiye ki sazā pā.iyegā
yaad meñ merī jo ghabrā.iyegā
merī turbat pe chale ā.iyegā
thoḌī taklīf sahī aane meñ
do ghaḌī baiTh ke uTh jā.iyegā
yaad dilvā ke vo aglī bāteñ
bharī mahfil meñ na rulvā.iyegā
hāl-e-dil kahiye to farmāte haiñ
bakte bakte mirā sar khā.iyegā
yak zarā aap ko ham dekh to leñ
baiThiye baiThiye phir jā.iyegā
ye 'haqīr' aap se Darne kā nahīñ
āñkheñ bas ġhair ko dikhlā.iyegā
kaba-e-dil ko agar Dhaiyega
yaad rakhiye ki saza paiyega
yaad mein meri jo ghabraiyega
meri turbat pe chale aaiyega
thoDi taklif sahi aane mein
do ghaDi baiTh ke uTh jaiyega
yaad dilwa ke wo agli baaten
bhari mahfil mein na rulwaiyega
haal-e-dil kahiye to farmate hain
bakte bakte mera sar khaiyega
yak zara aap ko hum dekh to len
baiThiye baiThiye phir jaiyega
ye 'haqir' aap se Darne ka nahin
aankhen bas ghair ko dikhlaiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.