kaba-e-dil mein runuma hain aap
ka.aba-e-dil meñ rūnumā haiñ aap
ba-ḳhudā but nahīñ ḳhudā haiñ aap
na ḳhafā mujh se ho to hai ye arz
ki bhalā mujh se kyoñ ḳhafā haiñ aap
māñgte haiñ ḳhudā se aap ko sab
merī dānist meñ duā haiñ aap
kis masīhā ke dard-e-ulfat meñ
miyāñ 'besabr' mubtalā haiñ aap
kaba-e-dil mein runuma hain aap
ba-KHuda but nahin KHuda hain aap
na KHafa mujh se ho to hai ye arz
ki bhala mujh se kyon KHafa hain aap
mangte hain KHuda se aap ko sab
meri danist mein dua hain aap
kis masiha ke dard-e-ulfat mein
miyan 'besabr' mubtala hain aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.