kaba-e-ruKHsar ki tere ziyarat chahiye
ka.aba-e-ruḳhsār kī tere ziyārat chāhiye
mujh ko terā hausla terī ijāzat chāhiye
maiñ hamesha ye duā kartā huuñ ai parvardigār
mere beToñ ko bhī mujh jaisī saḳhāvat chāhiye
sard mausam kā sahā jaatā nahīñ mujh se azaab
barf jaisī raat ko terī harārat chāhiye
zindagī kā lutf hāsil is tarah hotā nahīñ
dil meñ tere jazba-e-sabr-o-qanā.at chāhiye
puurā yuuñ hī shahr qabristān jaisā ho gayā
zālimoñ ko aur kitnī ab halākat chāhiye
kausar-o-tasnīm to haiñ ahl-e-jannat ke liye
ai mire saaqī mujhe jām-e-shahādat chāhiye
jis kī har āvāz par har shaḳhs ham-āvāz ho
aaj apnī qaum ko aisī qayādat chāhiye
maiñ bhī basnā chāhtā huuñ aap hī ke shahr meñ
mujh ko is meñ ghar banāne kī ijāzat chāhiye
baat sach kahnā koī āsāñ nahīñ is daur meñ
lab hilāne kī sar-e-mahfil jasārat chāhiye
'shād' kyoñ us kā numā.inda maiñ tujh ko maan luuñ
us kā likkhā koī ḳhat us kī ibārat chāhiye
kaba-e-ruKHsar ki tere ziyarat chahiye
mujh ko tera hausla teri ijazat chahiye
main hamesha ye dua karta hun ai parwardigar
mere beTon ko bhi mujh jaisi saKHawat chahiye
sard mausam ka saha jata nahin mujh se azab
barf jaisi raat ko teri hararat chahiye
zindagi ka lutf hasil is tarah hota nahin
dil mein tere jazba-e-sabr-o-qanaat chahiye
pura yun hi shahr qabristan jaisa ho gaya
zalimon ko aur kitni ab halakat chahiye
kausar-o-tasnim to hain ahl-e-jannat ke liye
ai mere saqi mujhe jam-e-shahadat chahiye
jis ki har aawaz par har shaKHs ham-awaz ho
aaj apni qaum ko aisi qayaadat chahiye
main bhi basna chahta hun aap hi ke shahr mein
mujh ko is mein ghar banane ki ijazat chahiye
baat sach kahna koi aasan nahin is daur mein
lab hilane ki sar-e-mahfil jasarat chahiye
'shad' kyon us ka numainda main tujh ko man lun
us ka likkha koi KHat us ki ibarat chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.