kaba mahdud hai paband-e-sanam-KHana hai
kaba mahdud hai paband-e-sanam-KHana hai
Masood Maikash Muradabadi
MORE BYMasood Maikash Muradabadi
ka.aba mahdūd hai pāband-e-sanam-ḳhāna hai
ishq har qaid-e-ḳhayālāt se begāna hai
kis qadar shoḳh mirī fitrat-e-rindāna hai
lab pe hai naam ḳhudā haath meñ paimāna hai
ḳhaak hone pe bhī dāmān sharar hī meñ rahā
kis qadar shoa.la-fishāñ fitrat-e-parvāna hai
faisla jazba-e-vahshat hai tujhī par mauqūf
ye qafas hai ye gulistāñ hai ye vīrāna hai
fursat-e-fikr-o-samā.at hai to sun lo aa kar
dil kī dhaḌkan meñ nihāñ dard kā afsāna hai
justajū-e-haram-o-dair nahīñ hai 'maikash'
dil hī ka.aba hai mirā dil hī sanam-ḳhāna hai
kaba mahdud hai paband-e-sanam-KHana hai
ishq har qaid-e-KHayalat se begana hai
kis qadar shoKH meri fitrat-e-rindana hai
lab pe hai nam KHuda hath mein paimana hai
KHak hone pe bhi daman sharar hi mein raha
kis qadar shoala-fishan fitrat-e-parwana hai
faisla jazba-e-wahshat hai tujhi par mauquf
ye qafas hai ye gulistan hai ye virana hai
fursat-e-fikr-o-samaat hai to sun lo aa kar
dil ki dhaDkan mein nihan dard ka afsana hai
justaju-e-haram-o-dair nahin hai 'maikash'
dil hi kaba hai mera dil hi sanam-KHana hai
- Book : KHuli kitab (Pg. 39)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.