kaba nazar mein hai na hai but-KHana aaj-kal
ka.aba nazar meñ hai na hai but-ḳhāna āj-kal
rahtī hai garm mahfil-e-rindāna āj-kal
jo pārsā thā hai vahī mastāna āj-kal
kyā khul gayā hai phir dar-e-mai-ḳhāna āj-kal
ruktā nahīñ kahīñ tirā dīvāna āj-kal
qismat banī hai gardish-e-paimāna āj-kal
pahlī sī bazm-e-nāz rahī aur na soz-o-sāz
kyoñ DhūñDhtā hai sham.a ko parvāna āj-kal
mīnā-o-mai kī ḳhair ho jām-o-subū kī ḳhair
phir ho rahī hai laġhzish-e-mastāna āj-kal
aa.ī bahār josh kā sāmāñ liye hue
phir mastiyoñ meñ hai tirā dīvāna āj-kal
ġhurbat meñ pā rahā huuñ ajab lutf-e-zindagī
apnā nazar meñ hai na hai begāna āj-kal
kyā pūchhte ho 'zabt' kā maskan batā.eñ kyā
hai ik harīm-e-nāz meñ kāshāna āj-kal
kaba nazar mein hai na hai but-KHana aaj-kal
rahti hai garm mahfil-e-rindana aaj-kal
jo parsa tha hai wahi mastana aaj-kal
kya khul gaya hai phir dar-e-mai-KHana aaj-kal
rukta nahin kahin tera diwana aaj-kal
qismat bani hai gardish-e-paimana aaj-kal
pahli si bazm-e-naz rahi aur na soz-o-saz
kyon DhunDhta hai shama ko parwana aaj-kal
mina-o-mai ki KHair ho jam-o-subu ki KHair
phir ho rahi hai laghzish-e-mastana aaj-kal
aai bahaar josh ka saman liye hue
phir mastiyon mein hai tera diwana aaj-kal
ghurbat mein pa raha hun ajab lutf-e-zindagi
apna nazar mein hai na hai begana aaj-kal
kya puchhte ho 'zabt' ka maskan bataen kya
hai ek harim-e-naz mein kashana aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.