kabe hi ka ab qasd ye gumrah karega
kaabe hī kā ab qasd ye gumrāh karegā
jo tum se butāñ hogā so allāh karegā
zulfoñ se paḌā tuul meñ ab ishq kā jhagḌā
ḳhat aan ke ye majhla kotāh karegā
bose kī talab se to rahegā tabhī ai dil
jab gāliyāñ do-chār vo tanḳhvāh karegā
ā.īne ko Tuk bhar ke nazar dekh to pyāre
vo tujh ko mire haal se āgāh karegā
ahvāl-e-dil-e-zār tujhe hovegā mālūm
jab tū kisī mah-vash kī miyāñ chaah karegā
vaahī na samajh 'soz' ke paimāñ ko tū ai yaar
jo tujh se kiyā ahd so nirbāh karegā
kabe hi ka ab qasd ye gumrah karega
jo tum se butan hoga so allah karega
zulfon se paDa tul mein ab ishq ka jhagDa
KHat aan ke ye majhla kotah karega
bose ki talab se to rahega tabhi ai dil
jab galiyan do-chaar wo tanKHwah karega
aaine ko Tuk bhar ke nazar dekh to pyare
wo tujh ko mere haal se aagah karega
ahwal-e-dil-e-zar tujhe howega malum
jab tu kisi mah-wash ki miyan chah karega
wahi na samajh 'soz' ke paiman ko tu ai yar
jo tujh se kiya ahd so nirbah karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.