kabe ki aarzu hai na but-KHana chahiye
ka.abe kī aarzū hai na but-ḳhāna chāhiye
mai-ḳhāna chāhiye dar-e-jānāna chāhiye
īmāñ ke imtiyāz kā ā.īna kufr hai
ka.abe ke muttasil hī sanam-ḳhāna chāhiye
vahshat hai aur ishq-e-junūñ-ḳhez aur hai
zanjīr zulf kī pa-e-dīvāna chāhiye
yaksūī-e-ḳhayāl hai ābādiyoñ se duur
dīvāngān-e-ishq ko vīrāna chāhiye
tum jis jagah ho kyoñ na ho merā vahāñ guzar
har anjuman meñ sham.a ko parvāna chāhiye
mai-ḳhvār paañv rakhne lage haiñ sañbhāl kar
saaqī phir un ko laġhzish-e-mastāna chāhiye
mai se ġharaz na sāġhar-o-mīnā se vāsta
terī nashīlī aañkh kā paimāna chāhiye
saaqī ke dast-e-faiz ne insāñ banā diyā
ai shaiḳh adā-e-sajda-e-shukrāna chāhiye
vā bāb-e-mai-kada bhī hai baada bhī jaam bhī
'navvāb' sirf jur.at-e-rindāna chāhiye
kabe ki aarzu hai na but-KHana chahiye
mai-KHana chahiye dar-e-jaanana chahiye
iman ke imtiyaz ka aaina kufr hai
kabe ke muttasil hi sanam-KHana chahiye
wahshat hai aur ishq-e-junun-KHez aur hai
zanjir zulf ki pa-e-diwana chahiye
yaksui-e-KHayal hai aabaadiyon se dur
diwangan-e-ishq ko virana chahiye
tum jis jagah ho kyon na ho mera wahan guzar
har anjuman mein shama ko parwana chahiye
mai-KHwar panw rakhne lage hain sanbhaal kar
saqi phir un ko laghzish-e-mastana chahiye
mai se gharaz na saghar-o-mina se wasta
teri nashili aankh ka paimana chahiye
saqi ke dast-e-faiz ne insan bana diya
ai shaiKH ada-e-sajda-e-shukrana chahiye
wa bab-e-mai-kada bhi hai baada bhi jam bhi
'nawwab' sirf jurat-e-rindana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.