kafir din aur munkir raaten kin waqton mein aa pahuncha hun
kafir din aur munkir raaten kin waqton mein aa pahuncha hun
Saleem Figar
MORE BYSaleem Figar
kāfir din aur munkir rāteñ kin vaqtoñ meñ aa pahuñchā huuñ
tahtus-sarā meñ le jā.eñge jin logoñ meñ aa pahuñchā huuñ
mere dhuñdle naqsh dobārā kuchh gahre hote jaate haiñ
chalte phirte pahlī umr ke biite dinoñ meñ aa pahuñchā huuñ
ik ummīd hai aane vaalā vaqt mujhe bhī dohrā.egā
lafz-o-ḳhayāl-o-fikr meñ Dhal kar maiñ sheroñ meñ aa pahuñchā huuñ
in zarroñ kī muTThī meñ bhī sad-hā ḳhvāboñ kī qabreñ haiñ
dil meñ itne sog uThā kar kin rastoñ meñ aa pahuñchā huuñ
jin meñ koī rang-e-mohabbat ubhrā nahīñ hai koshish se bhī
apnā shauq-e-nazāra le ke kin āñkhoñ meñ aa pahuñchā huuñ
taaza ThanDī sabz havā.eñ har ik mausam meñ hañstī thiiñ
is manzar ko DhūñDte aaj maiñ in galiyoñ meñ aa pahuñchā huuñ
kafir din aur munkir raaten kin waqton mein aa pahuncha hun
tahtus-sara mein le jaenge jin logon mein aa pahuncha hun
mere dhundle naqsh dobara kuchh gahre hote jate hain
chalte phirte pahli umr ke bite dinon mein aa pahuncha hun
ek ummid hai aane wala waqt mujhe bhi dohraega
lafz-o-KHayal-o-fikr mein Dhal kar main sheron mein aa pahuncha hun
in zarron ki muTThi mein bhi sad-ha KHwabon ki qabren hain
dil mein itne sog uTha kar kin raston mein aa pahuncha hun
jin mein koi rang-e-mohabbat ubhra nahin hai koshish se bhi
apna shauq-e-nazara le ke kin aankhon mein aa pahuncha hun
taza ThanDi sabz hawaen har ek mausam mein hansti thin
is manzar ko DhunDte aaj main in galiyon mein aa pahuncha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.