kafir hua hun rishta-e-zunnar ki qasam
kāfir huā huuñ rishta-e-zunnār kī qasam
tujh zulf-e-halqa-dār ke har taar kī qasam
hargiz marīz-e-hijr kuuñ bin vasl nahīñ ilaaj
us ḳhush-adā kī nargis-e-bīmār kī qasam
us gul-badan ke kākul-e-pur-pech kā ḳhayāl
zunnār mujh gale kā huā haar kī qasam
tere bhañvoñ kī yaad ne TukḌe kiyā hai dil
hai zul-fiqār haidar-e-karrār kī qasam
ummīd-vār-e-chāh-e-zanaḳhdān-e-yār huuñ
maiñ tishna-lab huuñ sharbat-e-dīdār kī qasam
darkār gar hinā hai mujh āñkhoñ meñ rakh qadam
hai tujh kuuñ mere dīda-e-ḳhūñ-bār kī qasam
yakjā hue haiñ bulbul o parvāna ai 'sirāj'
us sham.a-rū ke chīra-e-gulnār kī qasam
kafir hua hun rishta-e-zunnar ki qasam
tujh zulf-e-halqa-dar ke har tar ki qasam
hargiz mariz-e-hijr kun bin wasl nahin ilaj
us KHush-ada ki nargis-e-bimar ki qasam
us gul-badan ke kakul-e-pur-pech ka KHayal
zunnar mujh gale ka hua haar ki qasam
tere bhanwon ki yaad ne TukDe kiya hai dil
hai zul-fiqar haidar-e-karrar ki qasam
ummid-war-e-chah-e-zanaKHdan-e-yar hun
main tishna-lab hun sharbat-e-didar ki qasam
darkar gar hina hai mujh aankhon mein rakh qadam
hai tujh kun mere dida-e-KHun-bar ki qasam
yakja hue hain bulbul o parwana ai 'siraj'
us shama-ru ke chira-e-gulnar ki qasam
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 465)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.