kafir wo zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
kāfir vo zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
phir us pe chashm-e-sehr-e-fan ek is taraf ek us taraf
hangām-e-rehlat dekhiye dil kis taraf apnā jhuke
baiThe haiñ shaiḳh-o-barhaman ek is taraf ek us taraf
zulfoñ kī ye sargoshiyāñ dil par balā.eñ lā.eñgī
ġhammāz hai garm-e-suḳhan ek is taraf ek us taraf
ġhairoñ kā majma.a aur tum pariyoñ kā jamghaT aur ham
pahlū-ba-pahlū anjuman ek is taraf ek us taraf
dil ek tanhā biich meñ āñkheñ tirī saffāk do
shamshīr-zan nāvak-fagan ek is taraf ek us taraf
maiñ mar gayā huuñ vasl meñ rāhat ho har pahlū mujhe
takiye hoñ do zer-e-kafan ek is taraf ek us taraf
tū aur dahne baa.eñ hoñ lailā-o-shīrīñ bazm meñ
maiñ aur qais-o-kohkan ek is taraf ek us taraf
donoñ farishte dosh par kyā likh sakeñ hālat mirī
ālūda-e-ranj-o-mehan ek is taraf ek us taraf
ruḳhsār tere sīm-gūñ phir us pe gul-gūne kā rang
phūlā hai kyā rang-e-chaman ek is taraf ek us taraf
itrā rahā hai 'dāġh' kyā hangām-e-gul-gasht-e-chaman
rangīñ-qabā gul-pairahan ek is taraf ek us taraf
kafir wo zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
phir us pe chashm-e-sehr-e-fan ek is taraf ek us taraf
hangam-e-rehlat dekhiye dil kis taraf apna jhuke
baiThe hain shaiKH-o-barhaman ek is taraf ek us taraf
zulfon ki ye sargoshiyan dil par balaen laengi
ghammaz hai garm-e-suKHan ek is taraf ek us taraf
ghairon ka majma aur tum pariyon ka jamghaT aur hum
pahlu-ba-pahlu anjuman ek is taraf ek us taraf
dil ek tanha bich mein aankhen teri saffak do
shamshir-zan nawak-fagan ek is taraf ek us taraf
main mar gaya hun wasl mein rahat ho har pahlu mujhe
takiye hon do zer-e-kafan ek is taraf ek us taraf
tu aur dahne baen hon laila-o-shirin bazm mein
main aur qais-o-kohkan ek is taraf ek us taraf
donon farishte dosh par kya likh saken haalat meri
aaluda-e-ranj-o-mehan ek is taraf ek us taraf
ruKHsar tere sim-gun phir us pe gul-gune ka rang
phula hai kya rang-e-chaman ek is taraf ek us taraf
itra raha hai 'dagh' kya hangam-e-gul-gasht-e-chaman
rangin-qaba gul-pairahan ek is taraf ek us taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.