kaga bole man ke sune aangan mein
kaagā bole man ke suune āñgan meñ
kājal bhīge to rang utre jīvan meñ
jaane kaun churā letā hai darshan meñ
har pal jo ākirtī rahtī hai man meñ
tū kis des ga.ī sat-rangī phuul khilā
dil ab bhī phirtā hai tere madhuban meñ
man kī komaltā.en bāñdhī jaatī haiñ
āḳhir banjāre lafzoñ ke bandhan meñ
kyā hai sachche premī ke man mandir meñ
ho panghaT kī ichchhā puurī sāvan meñ
sundar sundar mukhḌā dekhā 'yahyā' jī
sub.heñ kho jaa.eñ nainoñ ke darshan meñ
kaga bole man ke sune aangan mein
kajal bhige to rang utre jiwan mein
jaane kaun chura leta hai darshan mein
har pal jo aakirti rahti hai man mein
tu kis des gai sat-rangi phul khila
dil ab bhi phirta hai tere madhuban mein
man ki komaltaen bandhi jati hain
aaKHir banjare lafzon ke bandhan mein
kya hai sachche premi ke man mandir mein
ho panghaT ki ichchha puri sawan mein
sundar sundar mukhDa dekha 'yahya' ji
subhen kho jaen nainon ke darshan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.