kaghaz ki wadiyon mein kare yun safar ghazal
kāġhaz kī vādiyoñ meñ kare yuuñ safar ġhazal
chhū le jabīn-e-arsh vo taḳhlīq kar ġhazal
kāġhaz pe ik hasīn sā paikar utaar leñ
tanhā.ī ke safar meñ rahe ham-safar ġhazal
jis ke bhī qaul-o-fe.al meñ yaksāniyat mile
samjho usī kī aaj hai paiġhāmbar ġhazal
dast-e-talab se bhiik to milnī nahīñ tujhe
aisā rahā ḳhayāl to be-maut mar ġhazal
mere suḳhan kī dosto me.arāj dekhiye
paḌhtī rahī ġhazal bhī mirī rāt-bhar ġhazal
kaghaz ki wadiyon mein kare yun safar ghazal
chhu le jabin-e-arsh wo taKHliq kar ghazal
kaghaz pe ek hasin sa paikar utar len
tanhai ke safar mein rahe ham-safar ghazal
jis ke bhi qaul-o-feal mein yaksaniyat mile
samjho usi ki aaj hai paighambar ghazal
dast-e-talab se bhik to milni nahin tujhe
aisa raha KHayal to be-maut mar ghazal
mere suKHan ki dosto mearaj dekhiye
paDhti rahi ghazal bhi meri raat-bhar ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.