kaghaz qalam dawat ke andar ruk jata hai
kāġhaz qalam davāt ke andar ruk jaatā hai
jo lamha is zaat ke andar ruk jaatā hai
sūraj din bhar zahr ugaltā rahtā hai
chāñd kā zo.am bhī raat ke andar ruk jaatā hai
pahle saañs jamā detā hai hoñToñ par
phir vo apnī ghaat ke andar ruk jaatā hai
nikal nahīñ saktā dhartī kā banjar-pan
jo qatra barsāt ke andar ruk jaatā hai
harf kā diip havā se kaise uljhegā
ye nuqta har baat ke andar ruk jaatā hai
hijr kā mausam ḳhāmoshī aur raat kā Dar
yādoñ kī bārāt ke andar ruk jaatā hai
kaghaz qalam dawat ke andar ruk jata hai
jo lamha is zat ke andar ruk jata hai
suraj din bhar zahr ugalta rahta hai
chand ka zoam bhi raat ke andar ruk jata hai
pahle sans jama deta hai honTon par
phir wo apni ghat ke andar ruk jata hai
nikal nahin sakta dharti ka banjar-pan
jo qatra barsat ke andar ruk jata hai
harf ka dip hawa se kaise uljhega
ye nuqta har baat ke andar ruk jata hai
hijr ka mausam KHamoshi aur raat ka Dar
yaadon ki baraat ke andar ruk jata hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 662)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.