kaghaz qalam kitab se mahrum ho gae
kāġhaz qalam kitāb se mahrūm ho ga.e
ham jiite jī jahān meñ marhūm ho ga.e
hākim bane to kho ga.e duniyā-e-aish meñ
saaqī sharāb jaam ke mahkūm ho ga.e
maqtūl hī pe aa gayā ilzām-e-ḳhud-kushī
qātil nigāh-e-adl meñ ma.asūm ho ga.e
ġhurbat meñ saath chhoḌ diyā tū ne bhī mirā
ma.anī tire ḳhulūs ke mālūm ho ga.e
kis se mileñ ki zehn nahīñ hai kisī kā saaf
saare hī log shahr ke masmūm ho ga.e
jab zindagī meñ diin thā ḳhushiyāñ thiiñ chār-sū
ġhāfil hue to dahr meñ maġhmūm ho ga.e
matlab-parast rah ga.e 'qaisar' jahān meñ
jo paikar-e-ḳhulūs the mādūm ho ga.e
kaghaz qalam kitab se mahrum ho gae
hum jite ji jahan mein marhum ho gae
hakim bane to kho gae duniya-e-aish mein
saqi sharab jam ke mahkum ho gae
maqtul hi pe aa gaya ilzam-e-KHud-kushi
qatil nigah-e-adl mein masum ho gae
ghurbat mein sath chhoD diya tu ne bhi mera
mani tere KHulus ke malum ho gae
kis se milen ki zehn nahin hai kisi ka saf
sare hi log shahr ke masmum ho gae
jab zindagi mein din tha KHushiyan thin chaar-su
ghafil hue to dahr mein maghmum ho gae
matlab-parast rah gae 'qaisar' jahan mein
jo paikar-e-KHulus the madum ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.