kaghazi hath hamein ras na aaen shayad
kāġhazī haath hameñ raas na aa.eñ shāyad
ab ke miTTī se ġhazal koī ugā.eñ shāyad
un hasīñ jhiil sī āñkhoñ kā fusūñ kyā kahiye
sher pahneñge parindoñ kī qabā.eñ shāyad
pahle iisā hī ko maslūb kiyā thā lekin
ab ke mariyam ko bhī deñ log sazā.eñ shāyad
us ne khole haiñ shab-e-vasl ghanere gesū
aaj barseñgī dhuāñ-dhār ghaTā.eñ shāyad
sangsār aaj sar-e-ām jo karte haiñ hameñ
kal vahī haath janāza bhī uThā.eñ shāyad
na koī phuul na aañsū na laraztā jugnū
merī jholī meñ haiñ be-kār duā.eñ shāyad
'prem' kyā daur hai dil se bhī girāñ haiñ patthar
hasrateñ shīshe ke ghar aur banā.eñ shāyad
kaghazi hath hamein ras na aaen shayad
ab ke miTTi se ghazal koi ugaen shayad
un hasin jhil si aankhon ka fusun kya kahiye
sher pahnenge parindon ki qabaen shayad
pahle isa hi ko maslub kiya tha lekin
ab ke mariyam ko bhi den log sazaen shayad
us ne khole hain shab-e-wasl ghanere gesu
aaj barsengi dhuan-dhaar ghaTaen shayad
sangsar aaj sar-e-am jo karte hain hamein
kal wahi hath janaza bhi uThaen shayad
na koi phul na aansu na larazta jugnu
meri jholi mein hain be-kar duaen shayad
'prem' kya daur hai dil se bhi giran hain patthar
hasraten shishe ke ghar aur banaen shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.