kaghazi kashtiyan banate the
kāġhazī kashtiyāñ banāte the
ham farishtoñ ke kaam aate the
us ko dekhā to aaj yaad aaya
ham kabhī sog bhī manāte the
ḳhvāb phirte the aañkh meñ shab-bhar
ham galī meñ sadā lagāte the
log hañste the is liye ham par
ham girī jhanDiyāñ uThāte the
ab to hiire tarāshte haiñ bas
pahle ham bhī ḳhudā banāte the
kaghazi kashtiyan banate the
hum farishton ke kaam aate the
us ko dekha to aaj yaad aaya
hum kabhi sog bhi manate the
KHwab phirte the aankh mein shab-bhar
hum gali mein sada lagate the
log hanste the is liye hum par
hum giri jhanDiyan uThate the
ab to hire tarashte hain bas
pahle hum bhi KHuda banate the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.