kaghazi thin jala ke rakh di hain
kāġhazī thiiñ jalā ke rakh dī haiñ
saarī chiḌiyāñ uḌā ke rakh dī haiñ
tujh ko ab dil se dekhnā hai mujhe
apnī āñkheñ chhupā ke rakh dī haiñ
aaj dekhā hai be-hijāb us ko
saarī bāteñ bhulā ke rakh dī haiñ
dekhnā in meñ ḳhvāb ā.eñge
maiñ ne āñkheñ sulā ke rakh dī haiñ
sabr merā shi.ār Thahrā hai
ḳhvāhisheñ sab dabā ke rakh dī haiñ
kaghazi thin jala ke rakh di hain
sari chiDiyan uDa ke rakh di hain
tujh ko ab dil se dekhna hai mujhe
apni aankhen chhupa ke rakh di hain
aaj dekha hai be-hijab us ko
sari baaten bhula ke rakh di hain
dekhna in mein KHwab aaenge
main ne aankhen sula ke rakh di hain
sabr mera shiar Thahra hai
KHwahishen sab daba ke rakh di hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.