kaghzi kashti ki aamad ka ishaara mil gaya
kāġhzī kashtī kī aamad kā ishāra mil gayā
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā mil gayā
ho gayā shāmil ġharaz kā rañg mauj-e-ishq meñ
jhiil ke nithre hue paanī meñ gaarā mil gayā
ghul ga.ī betābī-e-dil vaqt ke mahlūl meñ
zabt ke Thahre hue paanī meñ paara mil gayā
dil ke kārobār meñ hāsil kī koī shart hai
mil gayā is raah meñ jis ko ḳhasāra mil gayā
nā-mukammal ḳhvāhishoñ kā dard kho dene ke ba.ad
yuuñ huā phir vo mujhe saare kā saarā mil gayā
rakh chukā hai rehn vo pahle hī apnī raushnī
kis sitāre se mire dil kā sitāra mil gayā
ḳhud luTā kar chhoḌ aa.e jis kī ḳhātir kārvāñ
rahzanoñ ke saath vo rahbar hamārā mil gayā
kho gayā vo kis tarah jis ko kabhī paayā nahīñ
jis ko paayā hī nahīñ kaise dobāra mil gayā
sabz parcham ko milī āzād mausam kī havā
ham ko apnī sar zamīñ kā chāñd taara mil gayā
kaghzi kashti ki aamad ka ishaara mil gaya
Dubne wale ko tinke ka sahaara mil gaya
ho gaya shamil gharaz ka rang mauj-e-ishq mein
jhil ke nithre hue pani mein gara mil gaya
ghul gai betabi-e-dil waqt ke mahlul mein
zabt ke Thahre hue pani mein para mil gaya
dil ke karobar mein hasil ki koi shart hai
mil gaya is rah mein jis ko KHasara mil gaya
na-mukammal KHwahishon ka dard kho dene ke baad
yun hua phir wo mujhe sare ka sara mil gaya
rakh chuka hai rehn wo pahle hi apni raushni
kis sitare se mere dil ka sitara mil gaya
KHud luTa kar chhoD aae jis ki KHatir karwan
rahzanon ke sath wo rahbar hamara mil gaya
kho gaya wo kis tarah jis ko kabhi paya nahin
jis ko paya hi nahin kaise dobara mil gaya
sabz parcham ko mili aazad mausam ki hawa
hum ko apni sar zamin ka chand tara mil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.