kaghzi phul khila rakkhe hain
kāġhzī phuul khilā rakkhe haiñ
rishta-e-dard nibhā rakkhe haiñ
dil-e-barbād ne ḳhāmoshī se
kitne armān sulā rakkhe haiñ
raat ke pichhle pahar ashkoñ se
diip se diip jalā rakkhe haiñ
vo nahīñ jānte magar sach hai
tār-e-dil un se milā rakkhe haiñ
vo jo aa.e to hazāroñ shikve
phir kisī din pe uThā rakkhe haiñ
kyā samajh pā.eñge ġham ko mere
but-kade meñ jo ḳhudā rakkhe haiñ
koī ta.abīr mile yā na mile
ḳhvāb palkoñ pe sajā rakkhe haiñ
kaghzi phul khila rakkhe hain
rishta-e-dard nibha rakkhe hain
dil-e-barbaad ne KHamoshi se
kitne arman sula rakkhe hain
raat ke pichhle pahar ashkon se
dip se dip jala rakkhe hain
wo nahin jaante magar sach hai
tar-e-dil un se mila rakkhe hain
wo jo aae to hazaron shikwe
phir kisi din pe uTha rakkhe hain
kya samajh paenge gham ko mere
but-kade mein jo KHuda rakkhe hain
koi tabir mile ya na mile
KHwab palkon pe saja rakkhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.