kahishon se aman mile na mile
kāhishoñ se amaañ mile na mile
phir tirā āstāñ mile na mile
ab qafas hī ko āshiyāñ kahiye
rāhat-e-āshiyāñ mile na mile
dil se rahte haiñ mashvare din-rāt
ham-suḳhan ham-zabāñ mile na mile
mahv-e-fariyād ham haiñ aaj ki phir
fursat-e-yak-fuġhāñ mile na mile
tū to betāb hai magar ai dil
ho ke vo mehrbāñ mile na mile
ye ġhazal 'josh' ko sunā 'mahrūm'
phir koī nukta-dāñ mile na mile
kahishon se aman mile na mile
phir tera aastan mile na mile
ab qafas hi ko aashiyan kahiye
rahat-e-ashiyan mile na mile
dil se rahte hain mashware din-raat
ham-suKHan ham-zaban mile na mile
mahw-e-fariyaad hum hain aaj ki phir
fursat-e-yak-fughan mile na mile
tu to betab hai magar ai dil
ho ke wo mehrban mile na mile
ye ghazal 'josh' ko suna 'mahrum'
phir koi nukta-dan mile na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.