kajal sham ki aankh se Dhalke aanchal tere shane se
kajal sham ki aankh se Dhalke aanchal tere shane se
M Kothiyavi Rahi
MORE BYM Kothiyavi Rahi
kājal shaam kī aañkh se Dhalke āñchal tere shāne se
aur zarā ġham bhī le aa.eñ yādoñ ke vīrāne se
kyā us ne sochā hogā jab ḳhat merā pahuñchā hogā
soch rahā huuñ dekh aa.uuñ maiñ jā kar kisī bahāne se
chāhat ke do badan shahar meñ alag alag kyoñ rahte haiñ
Takrāne kī himmat bhī thī jab be-dard zamāne se
sone chāñdī kī dīvāreñ Dah denā āsān na thā
lekin tum to bahak ga.e is duniyā ke bahkāne se
ujaḌ ga.ī jab pyaar kī mahfil chale ga.e sab dil vaale
tanhā raahe bahal rahā hai maazī ke afsāne se
kajal sham ki aankh se Dhalke aanchal tere shane se
aur zara gham bhi le aaen yaadon ke virane se
kya us ne socha hoga jab KHat mera pahuncha hoga
soch raha hun dekh aaun main ja kar kisi bahane se
chahat ke do badan shahar mein alag alag kyon rahte hain
Takrane ki himmat bhi thi jab be-dard zamane se
sone chandi ki diwaren Dah dena aasan na tha
lekin tum to bahak gae is duniya ke bahkane se
ujaD gai jab pyar ki mahfil chale gae sab dil wale
tanha rahe bahal raha hai mazi ke afsane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.