cockroachon makDiyon ki fasl aa kar tu bhi dekh
cockroachoñ makḌiyoñ kī fasl aa kar tū bhī dekh
'umr-bhar dekhā jo maiñ ne vo ghaḌī-bhar tū bhī dekh
ik musalsal be-vaqūfī kā ‘amal hai zindagī
mere hisse meñ jo aayā vo muqaddar tū bhī dekh
dūsre ke tajrabe par TeḌhī buniyādeñ na rakh
bulb ko apnī hathelī se pichak kar tū bhī dekh
ḳhvāhisheñ kīḌe-makoḌoñ kī tarah marne lagīñ
ḳhud-kushī kī vārdātoñ kā ye manzar tū bhī dekh
dekh andar kī ragaḌ kitnī aziyyat-nāk hai
tañg kā bosī ḳhalāoñ meñ utar kar tū bhī dekh
cockroachon makDiyon ki fasl aa kar tu bhi dekh
'umr-bhar dekha jo main ne wo ghaDi-bhar tu bhi dekh
ek musalsal be-waqufi ka ‘amal hai zindagi
mere hisse mein jo aaya wo muqaddar tu bhi dekh
dusre ke tajrabe par TeDhi buniyaaden na rakh
bulb ko apni hatheli se pichak kar tu bhi dekh
KHwahishen kiDe-makoDon ki tarah marne lagin
KHud-kushi ki wardaton ka ye manzar tu bhi dekh
dekh andar ki ragaD kitni aziyyat-nak hai
tang ka bosi KHalaon mein utar kar tu bhi dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.