kal jab uski aaKHiri aai
kaal jab us kī āḳhirī aa.ī
dil pe kyā guzrī kyā ghaḌī aa.ī
ik tavaqqo' thī maut aa.egī
mujh pe aa.ī to zindagī aa.ī
mere saare añdhere luuT liye
jab merī samt raushnī aa.ī
ham ne zulfeñ ghanī sañvārī haiñ
ham pe yūñhī na shā'irī aa.ī
zikr maazī ne us kā chheḌ diyā
aur phir yaad vo baḌī aa.ī
us kī shādī bhī ho ga.ī parsoñ
maut ham ko bhī dūsrī aa.ī
jo kabhī hosh bāñTtā thā 'vīr'
us ke hissa meñ mai-kashī aa.ī
kal jab us ki aaKHiri aai
dil pe kya guzri kya ghaDi aai
ek tawaqqo' thi maut aaegi
mujh pe aai to zindagi aai
mere sare andhere luT liye
jab meri samt raushni aai
hum ne zulfen ghani sanwari hain
hum pe yunhi na sha'iri aai
zikr mazi ne us ka chheD diya
aur phir yaad wo baDi aai
us ki shadi bhi ho gai parson
maut hum ko bhi dusri aai
jo kabhi hosh banTta tha 'wir'
us ke hissa mein mai-kashi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.