kale kawwon ne tabahi wo machai tauba
kaale kavvoñ ne tabāhī vo machā.ī tauba
baaġh ke tote uḌe baaġh meñ amrūd na the
mere baare meñ baḌe logoñ ne kyā kyā na kahā
vāqi'a ye ki jinheñ sunñā thā maujūd na the
masjideñ bain kiye jaatī thiiñ ḳhāmoshī se
sajda-gāheñ thī magar sājid-o-masjūd na the
ek ko sajda kiyā ek basāyā dil meñ
achchhe lagte the mujhe but mire mā'būd na the
un ke hote hue kyā qaum taraqqī kartī
muqtadir the vo koī sāhib-e-bahbūd na the
tum se pahle bhī kahāñ achchhe the itne lekin
bigḌe sañvre hue hālāt the nābūd na the
maiñ nā kahtā thā ahad hote haiñ lā-had saare
‘ḳhān-hasrat' ke irāde kabhī mahdūd na the
kale kawwon ne tabahi wo machai tauba
bagh ke tote uDe bagh mein amrud na the
mere bare mein baDe logon ne kya kya na kaha
waqi'a ye ki jinhen sunna tha maujud na the
masjiden bain kiye jati thin KHamoshi se
sajda-gahen thi magar sajid-o-masjud na the
ek ko sajda kiya ek basaya dil mein
achchhe lagte the mujhe but mere ma'bud na the
un ke hote hue kya qaum taraqqi karti
muqtadir the wo koi sahib-e-bahbud na the
tum se pahle bhi kahan achchhe the itne lekin
bigDe sanwre hue haalat the nabud na the
main na kahta tha ahad hote hain la-had sare
‘KHan-hasrat' ke irade kabhi mahdud na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.