kali ghaTa mein chand ne chehra chhupa liya
kaalī ghaTā meñ chāñd ne chehra chhupā liyā
phūloñ kī rut ne baaġh se ḳhema uThā liyā
rūThe haiñ vo to vasl kī rut ḳhvāb ho ga.ī
ham ne judā.iyoñ ko gale se lagā liyā
jashn-e-tarab kī raat baḌī ḳhush-gavār thī
tere badan kī baas ko rut ne churā liyā
ik gul-badan milī jo sarāpā sipās thī
āñkhoñ ke rāste use dil meñ biThā liyā
aisī nigāh pyaar kī yuuñ 'tāj' ko milī
dil ke nagar meñ ek diyā sā jalā liyā
kali ghaTa mein chand ne chehra chhupa liya
phulon ki rut ne bagh se KHema uTha liya
ruThe hain wo to wasl ki rut KHwab ho gai
hum ne judaiyon ko gale se laga liya
jashn-e-tarab ki raat baDi KHush-gawar thi
tere badan ki bas ko rut ne chura liya
ek gul-badan mili jo sarapa sipas thi
aankhon ke raste use dil mein biTha liya
aisi nigah pyar ki yun 'taj' ko mili
dil ke nagar mein ek diya sa jala liya
- Book : Khayaabaan (Pg. 131)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.