kali raat ke raushan jugnu hum donon
kaalī raat ke raushan jugnū ham donoñ
din ke ujle badan kī ḳhushbū ham donoñ
madhur raag phailā kar har sū ham donoñ
sar par chaḌh kar boltā jaadū ham donoñ
ḳhud bhī mahkeñ auroñ ko bhī mahkā.eñ
aise dasht-e-ḳhutan ke aahū ham donoñ
duniyā bhar meñ jog jagāne kī ḳhātir
dar dar bhaTkeñ ban kar sādhū ham donoñ
dard bhare jo dil rakhte haiñ un ke liye
pyaar bharī āñkhoñ kā aañsū ham donoñ
jis kā jī chāhe vo ḳhud ko mahkā le
shāḳh-e-hinā ke phuul kī ḳhushbū ham donoñ
kyoñ na raheñ 'asmā' jī yuuñ āzādī se
priit ke bandhan bāñdh ke bandhū ham donoñ
kali raat ke raushan jugnu hum donon
din ke ujle badan ki KHushbu hum donon
madhur rag phaila kar har su hum donon
sar par chaDh kar bolta jadu hum donon
KHud bhi mahken auron ko bhi mahkaen
aise dasht-e-KHutan ke aahu hum donon
duniya bhar mein jog jagane ki KHatir
dar dar bhaTken ban kar sadhu hum donon
dard bhare jo dil rakhte hain un ke liye
pyar bhari aankhon ka aansu hum donon
jis ka ji chahe wo KHud ko mahka le
shaKH-e-hina ke phul ki KHushbu hum donon
kyon na rahen 'asma' ji yun aazadi se
prit ke bandhan bandh ke bandhu hum donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.