kaalī rātoñ meñ bhar ga.e āḳhir
rañg vo jo utar ga.e āḳhir
ḳhāmushī umr bhar nahīñ soī
chāñd taare bikhar ga.e āḳhir
dostī bādaloñ se kī ham ne
jahāñ Thahre ubhar ga.e āḳhir
zindagī kuchh vafā bhī kartī hai
isī ḳhvāhish meñ mar ga.e āḳhir
dil to kahtā thā jī na pā.eñge
dekh par ham mukar ga.e āḳhir
kali raaton mein bhar gae aaKHir
rang wo jo utar gae aaKHir
KHamushi umr bhar nahin soi
chand tare bikhar gae aaKHir
dosti baadalon se ki hum ne
jahan Thahre ubhar gae aaKHir
zindagi kuchh wafa bhi karti hai
isi KHwahish mein mar gae aaKHir
dil to kahta tha ji na paenge
dekh par hum mukar gae aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.