kaam aa kar bhi to har shaKHs ke tanha hona
kaam aa kar bhī to har shaḳhs ke tanhā honā
maiñ na kahtā thā ki achchhā nahīñ achchhā honā
Taal detā huuñ bahāne se sabhī logoñ ko
mujh ko aayā na tire baa'd kisī kā honā
tere hisse kī mohabbat to tujhe milnī thī
mere zimme thā faqat us kā vasīla honā
haa.e kis karb se kahtī thiiñ vo ḳhālī āñkheñ
tum to samjhoge mujhe tum to masīhā ho nā
laakh behtar hai zamāne kī ḳhabar rakhne se
ek hī shaḳhs ke har dukh se shanāsā honā
kaam aa kar bhi to har shaKHs ke tanha hona
main na kahta tha ki achchha nahin achchha hona
Tal deta hun bahane se sabhi logon ko
mujh ko aaya na tere ba'd kisi ka hona
tere hisse ki mohabbat to tujhe milni thi
mere zimme tha faqat us ka wasila hona
hae kis karb se kahti thin wo KHali aankhen
tum to samjhoge mujhe tum to masiha ho na
lakh behtar hai zamane ki KHabar rakhne se
ek hi shaKHs ke har dukh se shanasa hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.